Sudhindra Badal evam Indrajeet : Joydev das
Bhartiya rang parampara k yug pravartako me ek manishi BADAL (Sudhindra) SIRCAR se pratham sakshatkar ka saubhagya jinhone mujhe diya; mere guru, path-pradarshak tatha mere rangadarsh Shri Gautam Chattopadhyaye ka chir kritkritya rahunga. 2007 me mai kolkata ki vikkhyat rangtoli RANGAKARMEE ka reportory sadasya rahte huye vidushi Usha Ganguli k netritva me rangkarm kar raha tha. Unhi dino Bdalji k ghar jane ka adesh mere guruji ne phone se diya. Badalji ki atma-katha ka anuvad karne ka adhikar mere guruji ko Badalji ne khud diya hai. Mujhe Badalji k ghar jakar PURONOKASUNDI (atma-katha) samet kaee kitabo ko lekar banaras lautne hai. Mai chakkar me par gaya……..mai jaise ati-utsah wa charam-ashcharya k do bhao se hokar us ek pal me hi gujar gaya.
27june2007 ko Badalji ne milne ka samay diya. niyat tithi k tay samay me mai manik talla sthit unke paitrik nivas k samne kuchh der thaharkar sochne laga ki pahli mulakat me unhe kya sambodhan karunga……ki mera angik kaisa ho….ki mera vachik kaisa ho….ki mera aaharya durust hai na….ki meri satvikta?
-“vartaman me raho” bas ek is guru-vakya ne mujhe tamam uljhano se tatkaal ubarne me meri madad ki. Naee urja se labrej maine Badal babu k darwaje par dastak di.
Comments
Post a Comment